Breaking Tickers

Wo Qoum Aur Bastiyan Jinki Hastiyan Mita Di Gayi | Qur’an Se Ek Ibrat-naak Haqeeqat

👉 “Aaj hum un barbad bastiyon ki kahani parhte hain, kal kahin log hamari bastiyon ko kahani na bana kar parh rahe hon – is se pehle ke der ho jaye, Allah ki taraf palat aao.”

Kya Aap ko pata hai "Wo Qoum Aur Bastiyan Jinki Hastiyan Mita Di Gayi"agar nahi to yeh Article Aap ke liye hai. Ise Padhen aur gour o fikr karen ki Aakhir kyun aur kis Liye inko Is zameen se Mita diya gaya.

Duniya ki tareekh gawah hai ke jab bhi koi qoum Allah Ta’ala ki na-farmani, takabbur aur zulm me hadd se barh gayi, to uska anjaam sirf tabahi aur barbaadi hi nahi tha balki unki hasti aur Naam o nishaan hi is Duniya see Mita diya gaya tha.

 Qur’an-e-Kareem sirf Ek Deeni kitab hi nahi, balki ek zinda tareekhi record bhi hai jisme un qoumon ka zikr hai jinki bastiyan mita di gayin — taake aane wali nasalain ibrat haasil karen. Aur Apne Amaal durust kare.

✍️ By: Mohib Tahiri (Islahi Islamic Writer) | 🕋 Islamic Articles| ibrat aur naseehat| 🕰 Updated:14 Jan 2026
Qur’an me zikr ki gayi tabah qomon ki nishani, ibratnaak manzar

Kal tak jo bastiyan roshan thi,aaj ibrat ban kar reh gayin.”

Is article "Wo Qoum Aur Bastiyan Jinki Hastiyan Mita Di Gayi" me hum tafseel se jaanenge:

  • Kaun kaun si qoumen barbad hui?
  • Unki barbaadi ki asal wajah kya thi?
  • Kis qisam ke azaab ne unki hastiyan mita di?
  • Aaj ke daur ke liye kya paigham hai?

Allah ki pakad kab Hoti Hai? 

Allah kisi insaan ya Qoum ko ek baar me giraft nahi karta balki pahle use khabardar karta hai, sahih raah par laane ke liye har Tarah se Rahnumayi karta hai aur phir insan Gaflat me rahe ya na-farmani karta rahe,Zulm jab Hadd se badh jaye tab Allah Apni pakad sakht karta hai aur Azaab Naazil karta hai.

Allah Ta’ala farmata hai ke

Hum ne har Qoum me apne Rasool musalsal bheje, jab bhi kisi qaum ke paas us ka Rasool aata, woh usay jhutla dete. Us ka inkaar karte, na-farmani karte.Phir Hum ne unhein ek ke baad ek halaak kar diya aur unhein sirf kahaniyon ka hissa bana diya. Lanat aur halakat hai un logon ke liye jo imaan nahi laate.

Surat No. 28 Ayat NO. 59 me Allah farmata hai 

Aur tumhara Parwardigar aisa nahi hai kay Woh bastiyan yunhi halak ker daalay jab tak uss ney unn bastiyon ke markazi maqam per koi Rasool na bheja ho jo unn ko humari aayaten parh ker sunaye , aur Hum bastiyon ko uss waqt tak halak kernay walay nahi hain jab tak unn kay bashinday zalim naa ban jayen . 

👉 In ayaat se saaf pata chalta hai ki jab Na-farmaniyan aur Zulm badh jata hai tab Allah ka Azaab Naazil hota hai,


Barbad Hone Wali Bastiyan – Kaun Thi Yeh Qomen?

Qur’an Majeed me kai qomon ka zikr milta hai jo apni sar-kashi, takabbur aur Rasoolon ko jhutlane ki wajah se tabah kar di gayin. In me mashhoor qomen yeh hain:

  • Qaum-e-‘Aad
  • Qaum-e-Samood
  • Qaum-e-Loot
  • Fir‘aun aur us ki qaum
  • Qaum-e-Nuh

Yeh sab apne daur ki taqatwar, taraqqi-yafta aur ameer bastiyan thi, lekin jab Allah ke paigham ko thukraya, to un ki taqat unhein bacha na saki.


Kyun Barbad Hui Yeh Bastiyan?

 Qoum-e-Nooh (A.S.)

📍 Nabi: (Hazrat Nooh A.S.)

Gunah aur Wajah-e-Barbaadi:

  • 950 saal tak dawat ke bawajood inkar
  • Shirk aur but parasti
  • Ghuroor aur haq ka mazaq

🌊 Azaab:

Allah Ta’ala ne unpar toofani sailaab (Flood) nazil kiya. Zameen aur aasman dono taraf se paani barsa aur poori qoum doob kar halaak ho gayi.

📖 (Surah Hud 11:40)

Ibrat: Haq ka inkar aur Allah ke Rasool ka mazaq insaan ko halaakat tak le jata hai.


Qoum-e-Aad

📍 Nabi: (Hazrat Hud A.S.)

Gunah:

  • Takabbur: “Hum se zyada taqatwar kaun?”
  • Allah ki qudrat ka inkar
  • Zulm aur na-insafi

🌪️ Azaab:

Unpar sard aur sakht aandhi (Hadeed hawa) 7 raat aur 8 din musalsal chalti rahi, jisne unko jarr se ukhaad diya.

📖 (Surah Al-Haqqah 69:6-8)

Ibrat: Taqat aur power par ghuroor karne wali qoum ka anjaam ruswai hota hai.


Qoum-e-Samood

📍 Nabi: (Hazrat Saleh A.S.)

Gunah:

  • Allah ki nishani (Oontni) ko qatl karna
  • Nabi ka mazaq
  • Nafarmani aur sar-kashi

⚡ Azaab:

Ek sakht dhamaaka (Sayha) aur zalzala aya jisne sab ko halaak kar diya.

📖 (Surah Hud 11:67)

Ibrat: Allah ki nishaniyon ka mazaq udaanay ka anjaam sakht hota hai.


Qoum-e-Loot (A.S.)

📍 Nabi: (Hazrat Loot A.S.)

Gunah:

  • Be-hayai aur homosexuality
  • Khuli bad-kirdari
  • Nabi ka mazaq

🌋 Azaab:

Unki basti ko ulta kar diya gaya aur unpar pathron ki barish hui.

📖 (Surah Hud 11:82-83)

Ibrat: Fitraat ke khilaf amal aur fahashi qoumon ko mita deti hai.


Qoum-e-Shu’ayb (A.S.)

📍 Nabi: (Hazrat Shu’ayb A.S.)

Gunah:

  • Naap tol me kami
  • Tijarat me dhoka
  • Zulm aur fasad

🔥 Azaab:

Sakht zalzala aur sayha ne unki bastiyan mita di.

📖 (Surah Al-A’raf 7:91)

Ibrat: Tijarati dhoka aur economic corruption Allah ke azaab ko bulata hai.


Qoum-e-Fir’awn

📍 Nabi: (Hazrat Musa A.S.) Mukhalif: (Fir’awn)

Gunah:

  • Khud ko “Rab” kehna
  • Bani Israel par zulm
  • Takabbur aur jadoo ka sahara

🌊 Azaab:

Darya me doob kar halaak hua jab Musa A.S. ko bachaya gaya.

📖 (Surah Yunus 10:90)

Ibrat: Zalim hukmaran ka anjaam ibrat ka nishan ban jata hai.

👉 To yeh Raha anjaam unka,Jo bastiyan kal tak abad aur roshan thi,aaj sirf khandar aur kahaniyan ban kar reh gayin.



Aaj Ki Qomen Aur Barbad Bastiyon Ka Rishta

Yeh ayat sirf purani qomon ke liye nahi, balki aaj ke insaan ke liye bhi khuli warning hai:

  • Jab Shirk aam ho
  • Jab Fasad aur be-hayai barhe
  • Jab hum Qur’an ko nazarandaz karte hain
  • Jab hum gunah ko normal samajhne lagte hain
  • Jab hum deen par chalne walon AUR Allah ke ahkaam ka ka mazaq urate hain
  • Jab hum zulm aur na-insafi par khamosh rehte hain
To phir khauf aata hai ke kahin hum bhi
“kahaniyon” ka hissa na ban jayein.

Allah farmata hai:
“Kya wo zameen me ghoom phir kar nahi dekhte ke unse pehle logon ka kya anjaam hua?”
(Surah Yusuf 12:109)

Aakhirat Ki Tayyari – Barbad Basti Na Ban Jayein

Is ayat se humein yeh sabaq milta hai ke:

  • Haq ko pehchano
  • Rasoolon ke paigham par amal karo
  • Takabbur chhor kar Allah ke aage jhuk jao
  • Gunah ko gunah samjho, use fashion na banao

Jo qaum tawbah aur islah ka raasta apnati hai,
Allah usay tabahi se bacha leta hai.

Is liye har momin ko chahiye ke:

  • Tauba kare
  • Qur’an ko samjhe
  • Gunahon se bache
  • Zulm se door rahe


Nateeja (Conclusion):

"Wo Qoum Aur Bastiyan Jinki Hastiyan Mita Di Gayi" jin par Allah ka azaab aya — unki imaratein, unki taqat, unki saltanat sab mitti me mil gayi. Aaj unka naam sirf Qur’an ki ayaat me reh gaya hai — taake insaan ghuroor na kare aur Allah ki ita’at kare, Na-farmani na kare.

🤲 Allah Ta’ala humein un qoumon jaisa anjaam dekhne se bachaye aur hidayat par qayam rakhe. Aameen.


👍🏽 ✍🏻 📩 📤 🔔
Like | Comment | Save | Share | Subscribe
Author
islami Blogger:Is tarah ke aur islahi aur aakhirat se mutalliq mazameen ke liye hamari website ‘Aakhirat Ki Taiyari’ visit karte rahein.”sahih deen dusron tak pahunchayen 



FAQs:

Q1: Barbad bastiyan kyun hui Qur’an ke mutabiq?

 👉Rasoolon Ko Jhutlana
Har qaum ke paas Allah ne rehnuma bheja, magar unhon ne kaha:
“Yeh to hum jaisa insaan hai, hum is par kaise yaqeen karein?”

👉Takabbur Aur Guroor
Unhon ne apni quwwat, imaratein, lashkaron aur daulat par ghuroor kiya.
Unhein laga ke humen koi mita nahi sakta.

👉 Gunahon Ko Ma’roof Samajhna
Zina, zulm, na-insafi, jhoot, logon ka haq maarna –
jab burai aam ho jaye aur use bura na samjha jaye, tab azaab qareeb aa jata hai.

👉 Tauheen-e-Haq Aur Hidayat Se Inkaar
Unhon ne sirf Rasoolon ko jhutlaya hi nahi, balki un ka mazaq uraya,

unhein dhamkaya aur qaum ko gumraahi par jama rakha.

Q2: Kya aaj ki qomen bhi tabah ho sakti hain? 
Ji haan, agar aaj ki qomen bhi zulm, gunah aur Allah ke hukum se baghawat karti rahein to Allah ka azaab aa sakta hai.

Q3: Barbad qomon se hum kya sabaq lein?
Humein iman, tawbah, aur Allah ke ahkaam par chalna chahiye taake hum un jaisi halakat se bach sakein.

Q4:“Aur Hum Ne Unhein Kahaniyan Bana Diya” – Is Jumle Ka Matlab

Ayat me Allah farmata hai ke Hum ne unhein ahadees (kahaniyon) bana diya.
Is ka matlab yeh hai ke:

  • Kabhi jo qomen zinda aur taqatwar thi
  • Aaj un ka zikr sirf misaal ke taur par hota hai
  • Log kehte hain: “Kabhi yahan ek qaum rehti thi”

Yeh Allah ka qanoon hai:
Jo qaum haq ko jhutlati hai, us ka naam o nishaan bhi mita diya jata hai.


Post a Comment

0 Comments