Aakhirat Ka Din – Woh Haulnak Haqeeqat Jo Aane Wali Hai | Islamic Reminder

Aakhirat ka din Ek Haulnak haqeeqat hai jise na koi taal sakta hai aur na hi jhutla sakta hai. Insaan duniya ki masroof zindagi me aksar us haqeeqat ko bhool jata hai jo yaqini hai. "Aakhirat ka din" — jis ka aana atal hai — har us shakhs ke liye sab se badi sachchai hai jo zameen par zinda hai.ek din har rooh ko Allah ke samne haazir hona hai. 

Qur’an aur Ahadith mein Aakhirat Yani Qiyamat ke din ka aisa haulnak naqsha khencha gaya hai jo dil ko hila kar rakh deta hai.Us din na maal kaam aayega aur na hi aulaad, balki sirf imaan aur naik amaal hi nijaat ka zariya honge۔

✍️ By: Mohib Tahiri (Islahi Islamic Writer) | 🕋 Islamic Articles| Aakhirat ki Taiyari | 🕰 Updated:28 Mar 2026

Aakhirat ka din haulnak manazir Islamic belief

Qayamat – woh haulnak haqeeqat jo yaqeenan aane wali hai

Yeh article "Aakhirat Ka Din" humein Qayamat ke din ki sachai, us ke ahwaal aur us din ki tayyari ki taraf tawajjo dilata hai.


Qayamat Yaqeen Hai – Is Mein Koi Shak Nahi

Allah Ta‘ala farmata hai:

Aur us din se daro jis din tum sab Allah ki taraf lautaye jaoge.
(Surah Al-Baqarah: 281)

Yeh Quran ki aakhri naazil hone wali aayat hai, jo is baat ki daleel hai ke Allah ka aakhri paighaam bhi insaan ko Qayamat ke din se darata hai۔

Allah Ta’ala Qur’an mein bar-bar farmata hai ke Qayamat ka aana bilkul bar-haq hai. Insaan chahe jitna bhi inkaar kar le, lekin maut ke baad uthaya jana aur hisaab dena atal hai.

“Qayamat ka jhatka bohat badi cheez hai.”
(Qur’an)

Yeh din na sirf jismon ko, balke dilon ke raaz bhi zahir kar dega.

👉 Is duniya me hame Sirf apni hi nahi apne ghar walon ki bhi islah aur Jahannum Ki aag se bachane ki koshish karni chahiye kaise zarur padhen 


Qayamat Ka Din Kya Hoga?

Qayamat ka din woh hoga jab:
  • Zameen aur aasman ka nizaam badal diya jayega
  • Pahaar rooi ki tarah urr jayenge
  • Samandar ubal padenge
  • Suraj qareeb la diya jayega
Insaan hosh kho baithega aur har shakhs sirf apni fikr mein hoga.

Nabi ﷺ Ki Tanbeeh Aur Naseehat

Nabi Kareem ﷺ ne Qayamat ke din ko yaad rakhne ki bar-bar talqeen ki.Aap ﷺ ne farmaya ke aqalmand woh hai jo apne aakhirat ke liye tayyari kare aur be-waqoof woh hai jo sirf duniya ke peechhe bhaagta rahe.Qayamat ka zikr sirf darane ke liye nahi, balke sudharne ke liye hai.

Rasool Allah ﷺ ne farmaya:

Qayamat ke din banda apni jagah se us waqt tak nahi hilega jab tak us se chaar cheezon ke baare me sawaal na kar liya jaye.

  1. Umar kahan guzari
  2. Jawani kis kaam me lagayi
  3. Maal kahan se kamaya aur kahan kharch kiya
  4. Ilm par kitna amal kiya
    (Tirmizi)

Yani zindagi ka har lamha sawaal ban kar saamne aayega۔


Qayamat Ke Din Insaan Ki Haalat

Maa Apne Bache Se Ghafil Ho Jayegi

Us din ka khauf itna zyada hoga ke maa apne doodh peete bache ko bhi bhool jayegi. Har rishta toot sa jayega.

(Surah Al-Hajj (22:2)

Har Shakhs Sirf Apni Fikr Mein

Baap beta se bhaagega, bhai bhai se. Koi kisi ka madadgaar nahi hoga. Sirf apne aamaal saamne honge.


Aamaal Nama Pesh Kiya Jayega

Har insaan ko us ka aamaal nama diya jayega:
  • Daayein haath mein milna kamyabi ki nishani
  • Baayein haath mein milna nakaami aur pachtaway ka sabab
Us waqt koi jhoot, koi bahana kaam nahi aayega.
(Sahih Muslim, Hadith 2968)

Mizan (Taraazu) Qaim Ki Jayegi

Aamaal ko tola jayega. Chhoti se chhoti neki aur chhota sa gunah bhi samne aa jayega. Insaf ka nizaam hoga — zara bhi zulm nahi.

(Sunan Tirmidhi, Hadith 2421,Musnad Ahmad, Hadith 11275)


Pul Sirat

Jahannum ke upar Pul Sirat qaim ki jayegi:
  • Momineen bijli ki tarah guzar jayenge
  • Kuch gir jayenge
  • Kuch ruk jayenge
Yeh guzar sirf imaan aur aamaal par hogi.
(Sahih Muslim, Hadith 183,Sahih Bukhari, Hadith 7439)

Suraj Qareeb Hoga

Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:

Qayamat ke din suraj logon ke bohat qareeb kar diya jayega aur log apne amaal ke mutabiq paseene me doobe honge.
(Sahih Bukhari)

Kisi ka paseena takhno tak, kisi ka ghutno tak aur kisi ka mooh tak pohanch jayega — yeh sab amaal ka natija hoga۔

👉 Aakhirat ke imtihan me sabse pahle Namaz se Mutalliq sawal hoga,kya waqayi hum Namaz sahi se ada kar rahe hain ya bas dikhawa 


Har Amal Mehfooz Hai

Allah Ta‘ala farmata hai:

Jis ne zarra barabar neki ki hogi woh use dekh lega, aur jis ne zarra barabar burai ki hogi woh bhi use dekh lega.
(Surah Al-Zalzalah: 7–8)

Is aayat se saaf wazeh hota hai ke koi baat, koi niyyat aur koi amal chhupa nahi rahega۔


Aaj Ke Insaan Ke Liye Paigham

Aaj ka insaan:

  • Gunah ko chhota samajhta hai
  • Tauba ko kal par chhod deta hai
  • Maut ko bhool kar jeeta hai

Qayamat ka din humein yaad dilata hai ke abhi bhi waqt hai. Darwaza band nahi hua.

Qayamat ke Din se Darna Kyun Zaroori Hai?

  • Yeh dar insaan ko gunaahon se rokta hai
  • Dil me khashiyat-e-Ilahi paida karta hai
  • Namaz aur toba ki taraf laata hai
  • Guroor aur ghaflat ko khatam karta hai

Allah Ta‘ala farmata hai:

Jo apne Rab ke saamne kharay hone se dara aur nafs ko buri khwahish se roka, us ka thikana Jannat hai.
(Surah An-Naazi‘aat: 40–41)

Aakhirat Ka Din Tayyari Ka Naam Hai

Jo log Allah se darte hue zindagi guzarte hain, un ke liye Qayamat ka din rehmat aur kamyabi ka din hoga. Farishte un ka istiqbaal karenge aur jannat ki khushkhabri denge.
Aqalmand woh hai jo apne nafs ko qaboo mein rakhe aur maut ke baad ke liye amal kare…”
(Sunan Tirmidhi, Hadith 2459)


Qayamat ki Tayari Kaise Karein?

1. Namaz ki pabandi

Qayamat ke din sab se pehle namaz ka hisaab hoga۔is liye Namaz ki pabandi karen, Gaflat nahi 

2. Sachi Toba

Allah Ta‘ala sachi toba qubool farmata hai۔Waqt rahte sachi Tauba kar len,warna Maut ke Baad kuchh nahi ho Sakta.

3. Huqooq-ul-Ibaad ki Adaigi

Banday ke huqooq ka hisaab sab se sakht hoga۔is liye Kisi ka huqooq na hadpe iska khaas khayal Rakhen.agar liya hai to wapas kar den.

4. Dil aur niyyat ki islaah

Allah chehron ko nahi, dilon ko dekhta hai۔is Liye dikhawe ki Ibadat ya duniyawi muaamalat ko sahih rakhen.


👍🏽 ✍🏻 📩 📤 🔔
Like | Comment | Save | Share | Subscribe
Author
islami Blogger:Is tarah ke aur islahi aur aakhirat se mutalliq mazameen ke liye hamari website ‘Aakhirat Ki Taiyari’ visit karte rahein.”sahih deen dusron tak pahunchayen 



Conclusion:

Aakhirat ka din woh haulnak haqeeqat hai jo yaqeenan aane wali hai. Samajhdaar woh hai jo is din ko yaad rakh kar apni zindagi sudhaar le. Duniya chand roz ki mehman hai, jab ke aakhirat hamesha rehne wali hai.

Qayamat ka din koi kahani nahi, balki ek atal haqeeqat hai۔
Us din har insaan tanha hoga — apne amaal ke saath — apne Rab ke saamne۔
  • Aaj amal ka mauqa hai،
  • aaj toba ka darwaza khula hai،
  • kal sirf hisaab hoga۔
Is liye Qayamat ke din se daro aur apni zindagi ko sudhaar lo۔

🤲 Allah Ta’ala humein Qayamat ke din ki ruswai se bacha kar kamyab logon mein shamil farmaye. Aameen.



FAQs :–

Q1: Aakhirat ka din kya hai?

Answer: 

Aakhirat ka din woh din hai jab poori duniya khatam kar di jayegi aur tamam insaan dobara zinda kar ke Allah ke samne hisaab ke liye pesh kiye jayenge.


Q2: Aakhirat ke din insaan ki sab se badi mushkil kya hogi?

Answer:
Sab se badi mushkil apne aamaal ka hisaab hoga, jahan koi sifarish ya jhoot kaam nahi aayega.


Q3: Kya Aakhirat ke din rishte kaam aayenge?

Answer:
Nahi, Qur’an ke mutabiq us din maa, baap, bhai aur aulaad koi kaam nahi aayenge. Har shakhs sirf apni fikr mein hoga.


Q4: Aamaal Nama kis ko daayein haath mein milega?

Answer:
Jis shakhs ke nek aamaal zyada honge, usay aamaal nama daayein haath mein diya jayega, jo kamyabi ki nishani hai.


Q5: Pul Sirat kya hai?

Answer:
Pul Sirat jahannum ke upar ek pul hai jahan se har shakhs ko guzarna hoga. Guzarna sirf imaan aur aamaal par hoga.


Q6: Qayamat ke din ka darr kyun zaroori hai?

Answer:
Yeh darr insaan ko gunah se rokta aur Allah ki taraf rujoo karne par majboor karta hai.


Post a Comment

0 Comments