Jahannum Ki Haqeeqat | Khaufnak Azaab Aur Us Se Bachne Ka Raasta

Allah ne Jahannum ko nafs ko bhane wali cheezon se gher diya hai aur jo log apni khwahishon ke peechhe challenge wo isme daakhil honge.

Jahannum sirf ek darawni kahani ya tasawwur ka naam nahi, balki yeh Allah Ta‘ala ka insaaf aur uski pakad ki haqeeqat hai. Jahannum woh jagah hai jahan sakht azaab, jalati hui aag, aur dardnaak sazaayein hain, jo sirf un logon ke liye hain jo Allah ke ahkaam se mooh pher lete hain.

✍️ By: Mohib Tahiri | 🕋 Islamic Articles| Aakhirat ki Taiyari| 🕰 Updated:4 Feb 2026

“Jahannum ka khaufnaak manzar, bhadakti hui aag, sakht azaab aur andheron ki jhalak

Jahannum ki jhalak – gunahon ka anjaam aur Allah ke insaaf ka izhar


Jahannum ki Haqeeqat Aur Manzar

Nabi Kareem ﷺ ne bayan farmaya ke jab Allah ne Jahannum ko paida kiya aur farmaya:
Jaao, Aag (Jahannum) ko dekho aur un cheezon ko bhi jo maine Ahle-Jahannum ke liye tayyar kar rakhi hain.”
Hazrat Jibraeel (Alaihis Salam) gaye aur dekha ke aag ke sho‘lay ek-dusre se takra rahe hain. Woh wapas aaye aur arz kiya:
“Teri izzat ki qasam! Koi bhi shaks is mein daakhil nahi hoga.”
Phir Allah Ta‘ala ne hukm diya aur Jahannum ke ird-gird tabiyat ko pasand aane wali cheezon ki baarr laga di gayi.

Allah Ta‘ala ne farmaya:
Ab jaa kar dobara dekho.”
Hazrat Jibraeel (Alaihis Salam) ne jab dekha to paaya ke Jahannum ke ird-gird khushnuma aur lazzat wali cheezon ki baarr lag chuki hai. Woh wapas aaye aur arz kiya:
“Teri izzat ki qasam! Mujhe khatra hai ke koi shaks bhi is se bach nahi sakega, balke zaroor is mein daakhil ho jayega.”

(Sunan e Nisaai:3794)

Yeh hadees humein sakht tanbeeh karti hai ke gunah, ghaflat aur nafs ki pairwi insaan ko Jahannum ke qareeb le jaati hai. Lekin Allah ki rehmat yahan bhi wazeh hai, kyunki tauba, imaan aur nek a‘maal ke zariye Jahannum se bachne ka raasta khula hai.


Jahannum – Sirf Kahani Nahi, Haqeeqat Hai

Jahannum koi kahani, darawni story ya imagination nahi…Jahannum haqeeqat hai. Qur’an ka bayan hai. Rasool ﷺ ki warning hai.

Allah Ta’ala ne Jahannum ko sirf daraane ke liye nahi banaya, balki insaan ko seedhi raah par laane ke liye bayan kiya.

Aaj insaan hansi mazaak me gunah karta hai…lekin kal wahi gunah aag ban kar lapakne wale honge.

Qur’an Ki Roshni Me Jahannum Ka Manzar

Allah Ta’ala farmate hain:
Aur jo log hamari aayaton ko jhutlate hain, un ke liye aag ka azaab hai.”
(Surah Al-Baqarah 2:39)
Aur farmaya:
Jab bhi un ki khal jala di jaayegi, hum nayi khal badal denge taake azaab ka maza chakhein.”
(Surah An-Nisa 4:56)
Aur farmaya:

Aur jin logon ne kufr kiya, unke liye Jahannum ki aag hai,na unka kaam tamaam kiya jayega ke mar jaayein,aur na un se azaab halka kiya jayega.”
📚 Surah Fatir (35:36)

➡️ in ayaat we pata chalta hai ki Jahannum ke azaab ki sakhti kis Qadar khafnaak aur Dardnaak hai.

isi liye Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:
Aag se bacho, chahe aadhi khajoor sadaqa kar ke hi kyun na ho.”
📚 Sahih Bukhari & Sahih Muslim

➡️ Is hadees se yeh paighaam milta hai ke chhota sa nek amal bhi Jahannum se bachne ka zariya ban sakta hai

👉 Sochiye

Jalna, phir nayi khal, phir jalna… aur ye silsila Yunhi chalta rahega kabhi khatam nahi aur na hi maut aayegi
Namaz chhorne wale, jhoot bolne wale, zulm karne wale, takabbur karne wale, maa baap ko takleef dene wale aur behayai me doobne wale log Jahannum ke qareeb hote hain.

🔥 Jahannum Ki Aag Kaisi Hai?

Jahannum ki aag duniya ki kisi bhi aag se kai guna zyada bhayanak hai.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

Tumhari duniya ki aag, Jahannum ki aag ka 70wa hissa hai.”
(Bukhari, Muslim)


Is ka matlab yeh hai ke jo aag hum duniya me mehsoos karte hain — chaahe wo chulhe ki ho, bijli ki ho ya aag lagne ki — wo Jahannum ki aag ke muqable me sirf ek chhota sa hissa hai.

Duniya ki aag kuchh lamhon me jala kar khatam kar deti hai,
lekin Jahannum ki aag na jala kar khatam karegi, na maut aane degi.
Wo aag baar-baar jalaayegi, taake azaab lagataar mehsoos hota rahe.

Yani:

👉 Jo aag yahan bardasht se bahar lagti hai,
Jahannum ki aag us se 70 guna zyada shadeed hai.

♦️Yeh baat sirf darane ke liye nahi,
balki humein hosh me laane aur apni zindagi sudharne ke liye batayi gayi hai.



Jahannum Me Kaun Log Honge? (Iman Hilaa Dene Wali List)

Qur’an aur Hadees ke mutabiq, Jahannum me honge:

♦️Allah Aur Uske Rasool ki Na-farmani karne wale 
♦️Namaz chhorne wale
♦️Takabbur karne wale
♦️Jhoot bolne wale
♦️Zulm karne wale
♦️Zina aur behayai me doobne wale
♦️Haq maarne wale
♦️Maa baap ko takleef dene wale

👉 Ye sirf “Aise bure log” hi nahi…
Balki hum jaise log bhi ho sakte hain agar hum ne tauba na ki.



🔥 Jahannum Ka Khana Aur Paani

Jahannum me rehne walon ke liye khana aur pani bhi azaab hi hoga, rahat ka zariya nahi.
Allah Ta’ala Qur’an me farmate hain:
Un ke liye zaqqum ka darakht hoga.”
(Surah As-Saffat 37:62)
Zaqqum
ek aisa khaufnaak darakht hai jo Jahannum ki aag se ugta hai. Us ka phal dekhne me shetanon ke saron jaisa hoga. Jab Jahannumi use khayenge to na bhookh mitegi, na taqat milegi, balki dard aur azaab aur badh jayega.

Aur pani ke baare me farmaya:

Unhein ubalta hua pani pilaya jaayega jo aanton ko kaat kar rakh dega.”
(Surah Muhammad 47:15)

Yani Jahannum ka pani itna sakht garam hoga ke peete hi pet ke andar sab kuchh jala dega. Wo pani pyaas bujhane ke bajaye, aur zyada takleef paida karega.

👉 Na wahan pani rahat देगी…
na khana sukoon.
Jahannum me har cheez sirf aur sirf azaab hi azaab hogi.


Jahannum Se Bachne Ka Sab Se Asaan Raasta

👉🏻 Sachi Tauba

Tauba har gunah mita deti hai.

👉🏻 Namaz

Namaz Jahannum se dhal hai.

👉🏻 Sadqa

Sadqa Jahannum ki aag bujhata hai.

👉🏻 Shirk Se Duri 

Shirk sabse bada gunah hai, bagair tauba ki is gunah ki maafi nahi.
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Aag se bacho, chahe aadha khajoor de kar hi kyun na ho.”
(Bukhari)

Jahannum – Islahi Nazar Se

Buzurg farmate hain:
Jo duniya me apni nafs ko jala leta hai, usay Jahannum ki aag nahi jalati.”

Yani:
  • apni shahwat ko roko
  • apne gusse ko control karo
  • apne gunah ko qabr se pehle dafna do

Jahannum Se Bachne Ka Daily Amal Plan

Rozana

  • 5 waqt namaz
  • 100 martaba Astaghfar
  • 1 ayat Qur’an

Weekly

  • Sadqa
  • Kisi ko maaf karna
  • Apni ghalati par sharminda hona

Monthly

  • Gunah chhorne ka faisla
  • Aakhirat goal reset
  • Apni zindagi ka jaiza

Jahannum Ki Yaad – Rehmat Hai, Saza Nahi

Jab insaan Jahannum ko yaad karta hai, to:

  • gunah se darta hai
  • dil narm hota hai
  • aankh se aansu aate hain
  • aur Allah qareeb ho jata hai

 Is liye “Jahannum ki yaad rehmat hai, azaab nahi.”



Conclusion:

To ye hai Jahannum ki Haqeeqat,Jahannum se bachna mushkil nahi…
mushkil sirf gunah chhorna lagta hai.

Lekin yaad rakhein: Gunah chhorna mushkil hai, Jahannum bardasht karna namumkin.

Aaj hi tauba karein,namaz ki pabandi karen,Qur’an se dosti karein aur Allah aur Nabi ke bataye raaste ko apnayen.

Taake kal:

aag se bachein,Allah ki rehmat me aayein aur Jannat ke haqdaar ban jaayein

 🤲 Alla humma ajirni minan naar 
👍🏽 ✍🏻 📩 📤 🔔
Like | Comment | Save | Share | Subscribe
Author
islami Blogger:Is tarah ke aur islahi aur aakhirat se mutalliq mazameen ke liye hamari website ‘Aakhirat Ki Taiyari’ visit karte rahein.”sahih deen dusron tak pahunchayen 




🛑 Log aksar Jahannum aur us ke azaab ke bare me yeh sawal karte hain:”

FAQs – Jahannum Ki Haqeeqat Aur Us Se Bachne Ke Tareeqe

Q1: Kya Jahannum waqai maujood hai ya sirf darane ke liye bayan ki gayi hai?

Answer: Jahannum bilkul haqeeqat hai. Qur’an aur Hadees dono me Jahannum ka wazeh zikr hai. Ye sirf darane ke liye nahi, balki insaan ko seedhi raah par laane ke liye bayan ki gayi hai.


Q2: Jahannum ki aag duniya ki aag se kitni shadeed hai?

Answer: Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke duniya ki aag, Jahannum ki aag ka sirf 70wa hissa hai. Yani Jahannum ki aag bohot zyada shadeed aur takleef dene wali hai.


Q3: Kaun se log Jahannum ke sab se zyada qareeb hain?

Answer: Namaz chhorne wale, jhoot bolne wale, zulm karne wale, takabbur karne wale, maa baap ko takleef dene wale aur behayai me doobne wale log Jahannum ke qareeb hote hain.


Q4: Kya chhota gunah bhi Jahannum ka sabab ban sakta hai?

Answer: Ji haan, agar gunah par tauba na ki jaye to chhota gunah bhi bada ban jata hai. Is liye har gunah se bachna aur turant tauba karna zaroori hai.


Q5: Jahannum se bachne ka sab se asaan tareeqa kya hai?

Answer: Sachi tauba, 5 waqt ki namaz, sadqa dena aur Qur’an se rishta jorna Jahannum se bachne ka sab se asaan aur powerful tareeqa hai.


Q6: Kya sadqa waqai Jahannum ki aag se bachata hai?

Answer: Ji haan, Hadees me aata hai ke sadqa Jahannum ki aag se dhal ban jata hai, chahe aadha khajoor hi kyun na diya jaye.


Q7: Kya Jahannum hamesha ke liye hai?

Answer: Kuffar ke liye Jahannum hamesha hai, jab ke momin gunahgaar Allah ki rehmat se nikaal liye ja sakte hain.


Q8: Kya tauba har gunah ko maaf karwa sakti hai?

Answer: Ji haan, agar tauba sachi dil se ho, to Allah Ta’ala har gunah maaf farma deta hai, chahe gunah kitna hi bada kyun na ho.


Q9: Kya Jahannum ki yaad rehmat hai?

Answer: Ji haan, Jahannum ki yaad insaan ko gunah se rokti hai, dil ko narm karti hai aur Allah ke qareeb karti hai. Is liye buzurg kehte hain ke Jahannum ki yaad rehmat hai.


Q10: Kya sirf zaban se imaan kehna kaafi hai Jahannum se bachne ke liye?

Answer: Nahi, sirf kehna kaafi nahi. Imaan ke saath amal saleh bhi zaroori hai. Namaz, akhlaq aur tauba imaan ko mazboot banate hain.


Tags

jahannum ki haqeeqat, jahannum ka azaab, jahannum se bachne ke tareeqe, dozakh, islamic reminder, aakhirat ki taiyari, jahannum ki aag, gunah se tauba, jannat aur jahannum, maut ke baad zindagi66666

Post a Comment

0 Comments