Insan duniya me hazaron sawalon ke jawab yaad rakhta hai, lekin wo sawal bhool jata hai jo qabr me 3 sawal ki shakal me pooche jayenge.kya aap munkar nakeer ke sawalat ke liye Taiyar Hain.
Ye wo Qabr ka imtihan hai jahan na degree kaam aayegi, na zaban, na sifarish. Sirf imaan aur aamal insan ko bachayenge.
Qabr – Aakhirat Ki Pahli Manzil Aur Imtihan
Qabr me daakhil hotay hi insan ka pehla imtihan shuru ho jata hai. Farishtay aate hain jinhein Munkar aur Nakeer kaha jata hai.📖 Hadees:
“Murda jab qabr me rakha jata hai to do farishtay us ke paas aate hain.”
📚 Abu Dawood: 4753
Munkar Nakeer Ka Aana
Qabr me dafn ke baad jab insaan akela reh jata hai, us waqt do farishtay — Munkar aur Nakeer us ke paas aate hain. Ye farishtay sakht haibat aur dahshat-naak awaz ke sath aate hain.Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
Jab murda qabr me rakh diya jata hai aur log wapas chale jate hain, to wo unke jooton ki aahat tak sunta hai. Phir us ke paas do farishtay aate hain, use bitha dete hain aur sawalat karte hain…”Ek aur riwayat me aata hai:
📚 Sahih Bukhari (Hadith: 1338)
📚 Sahih Muslim (Hadith: 2870)
“Un dono farishton ki awaz garajdar hoti hai aur unki soorat intehai haibat-naak hoti hai.”Us waqt insaan bilkul tanha, be-sahara aur sirf apne iman aur aamaal ke saath hota hai. Koi rishta, koi maal aur koi sifarish kaam nahi aati.
📚 Musnad Ahmad (Mafhoom)
Qabr Me 3 Sawal Kaun Se Hain?
1️⃣ Tumhara Rab Kaun Hai?
📌 Jawab (Momin):
Mera Rab Allah hai.
📖 Qur’an:
“Allah iman walon ko sabit qadam rakhta hai.”
📖 Surah Ibrahim: 27
🔹 Jo duniya me Allah ko bhool gaya, qabr me zaban band ho jati hai.
2️⃣ Tumhara Deen Kya Hai?
📌 Jawab (Momin):
Mera deen Islam hai.
🔹 Sirf musalman kehna kaafi nahi, Islam par chalna zaroori hai.
3️⃣ Tumhara Nabi Kaun Hai?
📌 Jawab (Momin):
Mere Nabi Muhammad ﷺ hain.
📖 Hadees:
“Momin sahi jawab deta hai aur qabr me kamyab hota hai.”
📚 Bukhari: 1374
Ghalat Jawab Dene Walon Ka Anjaam
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:jab murday se qabr me sawal kiya jata hai aur wo sahi jawab nahi de pata, to wo kehta hai:
‘Haay haay! Mujhe nahi pata.’Phir usay lohay ke hammers se itna maara jata hai ke us ki cheekh mashriq aur maghrib ke darmiyan har cheez sunti hai, siwae insaan aur jinn ke.”
📖 Sahih Muslim: 2871
Qabr Me Kamyabi Ka Raaz
✔ Sacha imaan
✔ Namaz ki pabandi
✔ Sunnat par amal
✔ Gunahon se tauba
Ek Soch Aur Ek Haqeeqat – Ye Gaflat Nahi To Kya Hai?
Duniya ke imtihan ke liye hum saalon mehnat karte hain. Kitaabein, coaching, tayari, tension — sab kuch is liye ke humein pata hi nahi hota ke imtihan me kya sawalat aayenge. Phir bhi hum apni puri jaan laga dete hain.Lekin qabr ka imtihan?
Us ke sawal bhi humein pehle se maloom hain, aur jawab bhi humein bata diye gaye hain:
- Tumhara Rab kaun hai?
- Tumhara Deen kya hai?
- Tumhara Nabi kaun hai?
👉 Is ke bawajood hum beparwah hain.
Na imaan ki fikr, na namaz ki pabandi, na aamal ki tayyari.
👉 Jab sawal maloom hon, jawab maloom ho, phir bhi tayyari na ho —
agar ye gaflat nahi to phir kya hai?
Yahi soch agar dil me utar jaye, to insan ki zindagi badal sakti hai aur qabr ka imtihan asaan ho sakta hai.
Conclusion
Qabr me 3 sawal ka imtihan yaqeenan aane wala hai. Samajhdari isi me hai ke hum aaj tayyari karein.Abhi waqt hai sambhalne ka taiyari karne ka.Aankhen band sab khatm.🤲 Dua:
Allahumma thabbitna bil-qawlis thabit fil-hayatid dunya wal-akhirah.
Ameen.
FAQs:
Q 1: Qabr me 3 sawal kaun se hote hain?
Qabr me 3 sawal yeh hote hain: Tumhara Rab kaun hai? Tumhara deen kya hai? Tumhara Nabi kaun hai? Yeh sawalat Munkar Nakeer poochte hain.
Q 2: Qabr me sawalat kab pooche jate hain?
Jab mayyat ko qabr me rakh diya jata hai aur log wapas chale jate hain, us waqt farishtay aakar sawalat karte hain.
Q 3: Kya har insan se qabr me sawal hota hai?
Ji haan, har insan se qabr me sawal hota hai, chahe wo momin ho ya gunahgar.
Q 4: Qabr me sahi jawab dene ka faida kya hai?
Jo insan sahi jawab deta hai us ki qabr roshan aur wasi kar di jati hai aur usay jannat ki basharat di jati hai.
Q 5: Qabr me ghalat jawab dene walon ke sath kya hota hai?
Jo jawab nahi de pate unhein sakht azaab diya jata hai aur qabr tang kar di jati hai.
Q 6: Qabr ke sawalat ki tayyari kaise karein?
Qabr ke sawalat ki tayyari imaan, namaz ki pabandi, sunnat par amal aur gunahon se tauba se hoti hai.

0 Comments