Allah Ki Pakad Aur Dardnaak Anjaam | Gunahon Ka Azaab Aur Aakhirat Ki Haqeeqat

Allah Ta‘ala ka azaab aur Allah ki pakad ek aisi haqeeqat hai jise nazarandaz karna insaan ke liye sab se bada nuqsaan hai. Qur’an-e-Majeed aur Ahadees-e-Nabawi ﷺ baar-baar humein mutanabbah karti hain ke Allah ki na-farmani ka anjaam bahut dardnaak aur khaufnaak hota hai.

✍️ By: Mohib Tahiri (Islahi Islamic Writer) | 🕋 Islamic Articles| Aakhirat ki fikar | 🕰 Updated:20 Mar 2026
Allah ki pakad aur azaab ka khaufnaak manzar Islamic illustration

Allah ka azaab aur aakhirat ka khauf – har insaan ke liye ibraat

Ye mazmoon "Allah Ki Pakad Aur Dardnaak Anjaam" sirf maloomat ke liye nahi, balki dil ko jagaane ke liye hai taa ke insaan Allah ka khauf apne dil mein paida kare aur aakhirat ki tayari kare aur Taubah ka tareeqa apnaye.


Allah Ka Azaab Qur’an Kya Kahta Hai 

Allah Ta‘ala Qur’an-e-Majeed mein irshad farmata hai:

“Aur jo log hamari aayaat ka mazaaq udate hain, unhein anqareeb pata chal jayega.”
(Surah Al-Anbiya: 41)

Ye ayat saaf paighaam deti hai ke jo log Allah ke ehkaamaat ko halki cheez samajhte hain, deen ka mazaaq banate hain aur gunahon mein be-khauf mubtala rehte hain, un par Allah ki pakad achanak aa sakti hai.

Ek aur jagah irshad hota hai:

“Pas tum Allah ke azaab se mehfooz na samjho.”
(Surah Al-A‘raf: 99)

Yani Allah ka azaab aisa sakht hai ke koi bhi shakhs apne aap ko Allah ke azaab se mehfooz samajhne ki ghalti na kare.


Allah Ka Azaab Se Mutalliq Nabi ﷺ ka Farman 

Rasool Allah ﷺ ne farmaya:

“Jab Allah kisi qoum ko azaab dene ka irada karta hai to un par gunahon ki kasrat ho jati hai, phir Allah ki pakad aati hai.”

Is hadees se humein ye sabaq milta hai ke jab gunah aam ho jate hain, sharm o haya khatam ho jati hai aur naseehat be-asar ho jati hai aur log be-haya ho jayein, to phir Allah ka azaab qareeb aa jata hai.

Aakhirat Ka Khaufnaak Manzar

Aakhirat ka din wo din hoga jab har shakhs apne aamaal ke saath khara hoga. Na maal kaam aayega, na rishtay, na koi sifarish baghair Allah ke hukum ke.

Allah Ta‘ala farmata hai:

“Us din zalim apne haath kaat kaat kar kahega: kaash main ne Rasool ka rasta ikhtiyar kiya hota.”
(Surah Al-Furqan: 27)

Sochiye! Wo din kitna dardnaak hoga jab pachtawa faida nahi dega, aansu qabol nahi honge aur sirf azaab hi azaab hoga.

Allah Ke Azaab Se Bachne Ka Tareeqa

Allah Ta‘ala ka rehmat ka darwaza abhi band nahi hua. Jab tak saans chal rahi hai, tawbah ka mauqa maujood hai۔

1. Sachi Tawbah:
Dil se gunahon par sharmindgi, gunah chhor dena aur dobara na karne ka pakka irada.

2. Namaz aur Ibadat:
Namaz gunahon se rokti hai aur Allah ke qareeb karti hai.

3. Qur’an Se Ta‘alluq:
Qur’an sirf parhne ke liye nahi, balki zindagi badalne ke liye aaya hai.is liye ise samajh kar padhen aur Amal Karen.

4. Aakhirat Ki Fikr:
Rozana apna muhasiba karein ke agar aaj maut aa jaye to hum kahan kharay honge?


👍🏽 ✍🏻 📩 📤 🔔
Like | Comment | Save | Share | Subscribe
Author
islami Blogger:Is tarah ke aur islahi aur aakhirat se mutalliq mazameen ke liye hamari website ‘Aakhirat Ki Taiyari’ visit karte rahein.”sahih deen dusron tak pahunchayen 

Khatma (Conclusion):

Allah ka azaab haq hai aur bohot dardnaak hai. Aqalmad wahi hai jo is se pehle jaag jaye jab jaagne ka faida ho. Aaj agar hum ne apni zindagi na badli, to kal pachtawa ke siwa kuchh haasil na hoga.

👉 Aao! Allah ki taraf palat aayein, us ke azaab se daren aur us ki rehmat ke umeedwaar ban jaayein.

🤲 Allah Ta‘ala humein apne azaab se mehfooz farmaye aur apni rehmat ke saaye mein rakhe. Aameen.




FAQs:

1. Allah ki pakad kya hoti hai?

Allah ki pakad se murad uska azaab hai jo gunahon ki wajah se insaan ya qaum par aata hai.

2. Kya Allah ka azaab achanak aata hai?

Ji haan, Qur’an ke mutabiq Allah ka azaab aksar achanak aata hai jab log ghaflat mein hote hain.

3. Allah ke azaab se kaise bacha ja sakta hai?

Sachi tawbah, namaz, Qur’an par amal aur gunahon se bach kar.

4. Aakhirat ka sab se bada khauf kya hai?

Allah ke saamne hisaab dena aur jahannum ka azaab sab se bada khauf hai.

5. Kya har gunah par azaab hota hai?

Har gunah par foran azaab nahi hota, lekin agar tawbah na ki jaye to anjaam sakht ho sakta hai.


Post a Comment

0 Comments